Linear Search Kiya Hai

Linear Search In Hindi – Data Structures In Hindi

Data Structure

Linear Search In Hindi – Data Structures In Hindi – Iss Post Mein Hum Padhenge Linear Search ke Baare Mein Puri Detail Ke Sath Aur Iski Poori Functionality Kya Hai Aur Iske Steps, Elements Ko Search Karne Ke Liye.

Yadi Aapne  HTML Full Course  And CSS Full Course And Python Full Course And PHP Full Course Nhi Read Kiya Hai To Aap Vah Bhi Read Kar Sakte Hai |

Linear Search In Hindi

Pehle Hum Dekhte Hai Searching Kya Hai – Searching Ek Process Hai Jo Bahut Saari values Mein Se Hamari Kaam Ki Value Find Karne Kaa.

Linear Search searching Karne Ki Simplest Algorithm Hai Actual Mein, Linear Searching Mein Jo Element Hum ko Find Karna Hai Vo Hamein User Bataega fir Hum Janege Apni File Ke Pass Jisme Se Hamein Vo Value Search Karni Hai.

Ab Hum List Ke Pehle Elements Se Apni Value Ko Check Karenge Ke Yeh Dono Equal Hai Ya Nahi, Agar Ye Dono Match Ho Jaati hai Toh Humara Element Mil Gaya Hai Matlab Ke Process Successful Otherwise Fir Second Element Ke Sath Check Karenge or Fir Teesre Ke Sath And Etc.

ISS Sabko Hum Ek Example Se Samajhne Ki koshish Karte Hai Jo aapke Samajhne mein Kaafi Help Karega, Isko Hum Alag Alag Steps Mein Dekhenge,

STEP 1: Let Jo Number Search Karna Hai Vo Hai 20, Hmare Pass Ek Array Hai arr[ ] Naam Kaa Jisme Pehle Se Kuch Elements Pade Hai Aur Hame Isme Se hi Element Search Karna Hai, Ab Hum Compare Karenge 20 Ko arr[ ] ke First Element Mein, Kyuki Available Nahi Hai Aage Badh Jaenge

STEP 2: Ab Search Karenge arr[ ] Ke Doosre Element se , Kyuki Available Nahi Hai Toh Ek Step Aage jaaenge.

STEP 3: Third Mein Bhi Nahi Hai

STEP 4: Fourth mein Bhi Nahi Hai Then Aage Mein Check Karo

STEP 5: Isme Bhi Nahi Mila Fir Aage Vaale Ke Liye Check Karo

STEP 6: Ab Jab Humne Har Baar Ki Tarah Element ko arr[ ] ke elements se Compare Karaa Toh Hamein Hamara Kaam Kaa Element Mil Gya Aur Humne Vo Element Return kar Diya.

Linear Search ki Time complexity O(n) Hoti hai and Space Complexity Hoti Hai O(1) Kyuki Isme Koi Extra Space Use Nahi Hoti Hai.

Binary Search Ke Baare Mein Aage Ki videos Mein Dekhenge Thank You !

Also Read – Introduction to Search Algorithms

Friends Mujhe Umeed Hai Ki Aapko Linear Searching Algorithms In Hindi Ke Bare Mai 100% Jankari Ho Gayi Hogi | Agar Aapko Learn Karne Main Dikkat Aa Rahi Hai To Aap Mere Se Contact Kar Sakte Hai |

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *