Introduction of DBMS Concept in Hindi

Programming Blog
  • Introduction of Database Management System in Hindi
  • What is Database (Database Hai Kya ?)
  • Advantages of DBMS
  • Disadvantages of DBMS
  • Characteristics of DBMS in Hindi
  • Types of DBMS

Introduction of Database Management System

Contents

DBMS Ek Software Hai Jo Database Ko Manage Karne Ke Liye Use Kiya Jata Hai | Hamara DBMS Tutorial Jo Hai Wo Beginners aur Professional Sabhi Ke Liye Design Kiya Gya Hai |

For Example : MySQL , Oracle ,Etc.. Ye Sabhi Commercial Database Hain Jiska Use Different Applications Me Kiye Jaate Hain | Database Me Security Provide Ki Jaati Hai Koi Bhi User Ke Liye Yeh Data Consistency Bnaye Rakhta Hai | Yeh Program Ka Collection Hota Hai Jisse Koi User Apne Database Ko Create , Delete , aur Maintain Kar Sakta Hai |

What is Database (Database Hai Kya ?)

  • Database Definition – Database Ka Use Koi Organization Ko Define Karne Create, Delete , Modify Karne Ke Liye Kiya Jata Hai | Database Me Present Data Ko insert , delete , modify Ke Liye Bhi Use Kiya Jata Hai |
  • Database User Administration – Yeh User Ko Register Karne Aur Data Integrity Bnaye Rakhne , Data Security Ko Laagu Karne , Unexpected Failure Se Currupted Jaankari Ko Recover Karne Ke Liye Use Kiya Jata Hai |
  • Database Retrieval – Isska Use Database Se Data Collect Karne Ke Liye Kiye Jaate Hain | Jiska Use Bahut Saare Application Me Bhi Kiye Jaate Hain |

Advantages of DBMS

  • Database Sharing – DBMS Mei Koi Ek Organization Ke Authorized User Ke Beech Data Share Kar Sakte Hain |
  • Control Database Redundancy – Yeh Data Ko Single Database Files Mei Store Karta Hai Aur Uss Data Ko Database Mei Rakha Jata Hai | Yeh Data Redundancy Ko Niyantrit Kar Sakte Hain
  • Reduce Time – Yeh Development Karte Samay Aur Maintenance Ki Time Ko Kam Karti Hai |
  • Backup – Yeh Backup Aur Recovery Provide Karti Hai Jo Hardware Aur Software Failure Aur Restore Se Data Ka Automatic Backup Bnata Hai |
  • Multiple User Interface – Yeh Graphical User , Application Program Jaise Different Interface Ko Provide Karta Hai |

Disadvantages of DBMS

Koi Bhi Hardware Aur Software Ko Chalane Ke Liye Ek High Speed Data Processor Aur Ek Acchi Memory Size Ki Jarurat Hoti Hai Yeh Size Kya Hota Hai Jaise Koi Disk Aur Memory Ka Ek Bara Space Rakha Jata Hai |

  • Increased Cost Of DBMS – DBMS Software Aur Hardware Ka Price Bahut Jyada Hote Hain | DBMS Ka Size High Hota Hai Yadi Electric Failure Aur Database Currupt Hojaye Toh Jo Database Ka Important Data Store Hai Wah Data Loss Bhi Ho Sakta Hai | Bahut Different Technology Ke Saath Database System Interface Aur Company Ke Resources Aur Culture ka Pravao Parta Hai | Enn Awasaktau Ko Bnaye Rakhne Ke Liye DBMS Ko Manage Karne Ki Cost Badh Jaati Hai |

Characteristics of DBMS in Hindi

  • Data Independence – DBMS Ke Ek Vishesta Hai Ki Isme Data Independent Hota Hai | DBMS Mei Store Kiye Gye Data Har Ek Value Ek Dushre Se Independent Hona Chahiye Jisse Koi Bhi Program Data Ke Kisi Bhi Part Ko Independent Use Karne Me Koi Bhi Problem Na Aaye
  • To Store Data – Yeh Jaankari Store Karne Aur Manage Karne Ke Liye Ek Server Pe Establish Kiye Jaate Hain | Yeh Data Ko Munipulate Karne Wali Prakriya Ko Logical View Provide Karti Hai Iska Use Data Ki Security Provide Karne Ke Liye Kiye Jaate Hain |
  • DBMS Ki Sabse Baari Baat Yeh Hai Ki Isme Data Redundancy Ko Control Kiya Jaata Hai | DBMS Mei Data Ko Share Kar Sakte Hain | DBMS Mei Security Ka Dhayan Rakha Jata Hai Iska Processing Ki Speed Bahut Acchi Hai |
  • Data Inconsistency – Database Mei Alag – Alag Places Pe Alag Value Hona Usko Hum Data Inconsistency Kehte Hain | Database Mei Data Store Karne Se Pehle Quality Aur Reliability Ko Badhata Hai

Types of DBMS in Hindi

Database Management System Kei Prakar Ke Hote Hain | Jiss Jagah Pe Jaisa Kam Hai Uske Anushar Database Logically Kaise Store , Organize And Manipulate Kiya Jaata Hai | Isi Tarike Se DBMS Mei Different Categories Me Divide Kiya Gya Hai |

  1. Relational Database
  2. Network Database
  3. Object Oriented Database
  4. Document Database
  5. Hierarchical Database

Relational Database

Ess Tarah Ke Database Me Kei Tarah Ke Data Set Ko Jore Jaate Hain | Jisme Table , Record , Row and Column Bnaya Jaata Hai | Ess Tarah Ke Database Mei Tabular Form Ki Help Se Har Ek Column Ek Attribute Ko Pratek Row , Data of Value Ko Represent Kare Hain | Relational Database Mei Data Ko Different Row , Column , Table Mei Bnaya Jaata Hai |

Network Database

Netwok Database Ek Aisa Database Hai Jo Multiple Records Ya Tuples Ko Ek Saath Ek Jagah Link Karne Ki Anumati Pradan Karta Hai | Iss Tarah Ke Model Ko Aap Ek Ulte Perr Structure Ki Tarah Bhi Dekh Sakte Hain | Network Database Mei Connections Bnanne Ke Liye Network Structure Ka Use Kiya Jata Hai | Iska Jyadatar Use Digital Computer Par Kiye Jaate Hain |

Network Database Model Ko Charles Bachman New Year 1969 Me Kiya Tha

Object Oriented Database

Object Oriented Database Ke Liye Ek Aisa Data Model Hai Jisme Data Ko Object Ke Rup Mei Develop Kiya Jaata Hai | Object Oriented data Model Ke 3 Different Structure Hote Hain |

  • Object Structure
  • Object Class
  • Object Identification

Document Database

Document Database Ek Computer Programming Hai , Jiska Use Document Oriented Information Mei Kiya Jaata Hai | Document Database , NoSQL Database Ke Name Se Jyadatar Log Jaante Hain | XML Database , Document Database Ki Ek Subclass Hoti Hai | Ese Design Karne Aur Maintain Karne Ke Liye Semi Structured Data Ke Name Se Bhi Jana Jaata Hai |

Hierarchical Database

Hierarchical Database Model Ko Ek Tree Structure Ke Rup Me Represent Kiya Jaata Hai | Esme Har Ek Record Ke Liye Single Parent Aur Usme Kei Child Class Bhi Sakte Hain |

Hierarchical Database Model Ko Example Se Samjhte Hain | Kisi Bhi Bachhe Ke Record Mei Mata – Pitaa Hote Hain | Jabki Har Ek Mata – Pitaa Ke Record Mei Ek Ya Ek Se Jyada Bachhe Ka Record Ho Sakte Hain | Ek Hierarchical Database Se Data Lene Ke Liye Puree Root Node Se Start Karne Ki Jarurat Hoti Hai |

Ess Model Ko 1960 Mei IBM Duwra Bnaya Gya Pehla Database Model Mei Ek Jana Jaata Hai |

Muje Umeed Hai Aap Sabhi Ko Hamara Post Pasand Aaya Hoga Agar Aapko Hamara Post Pasand Aaya Hai Toh Aaplog Comment Box Me Comment Karke Hame Bataa Sakte Hain | Saath Me Ese Apne Dosto Ko Share Karna Mat Bhule Aapke Liye Aur Bhi Acchi Knowledge Ki Post Hamare Site Pe Milti Rhegi |

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *