C++ in Hindi | Introducing C++ in Hindi

C++ in Hindi – Introducing C++ in Hindi

C++

Introducing C++ in Hindi :- C++ ek object oriented programming language hai | C++ Bjarne Stroustrup ne develop ki thi | C++ ke aane se pahle C Or Simula 67 2 popular languages thi |

C++ ko 1979 mei bell laboratories mei develop kiya gya tha | C++ ek middle level language hai | isme high level or low level languages both features hai | C Language ke sabhi features C++ mei bhi hai |

  • Introduction to C++ in Hindi 
  • Features of C++ in Hindi 
  • Object oriented principles of C++ in Hindi 

Uses of C++ in Hindi

Contents

C++ ko kaha kaha par istemal kiya jata hai or aap ise keise istemal kar sakte hai ?

  1. C++ ko sabse jyada un software mei istemal kiya jata hai | jaha par hardware ke upper adhik control ki jyada jarurat hoti hai | For Example :- Device Drivers etc.
  2. C++ c langauge ka extension hai | isliye vo sabhi software jo c se banaye ja sakte hai wo C++ se bhi banaye ja sakte hai |
  3. C++ ko sabse jyada education ke purpose se istemal kiya jata hai | kyoki sabhi populer languages ke features C++ se liye gye hai |
  4. Aap Isse Bade software and games etc bhi create kar sakte hai |
C++ in Hindi | Introducing C++ in Hindi

Object oriented principles of C++ in Hindi 

Niche Diye Gaye C++ Object oriented Support ko bataya gya hai |

Class

Class ek user defined data type hai | ye C language mei structure ki tarah hi hota hai | lekin classes mei aap variable ke sath sath unse realted functions bhi bana sakte hai | jinhe aap bad mei objects ke duvara access kiya ja sakta hai |

Objects

Class ek user difined data type hai | Class type ke variables ko objects kaha jata hai |

Abstraction

Abstraction Means ki end user ko wahi functionality show ki jaye jiski usko jarurat hai | Baki background functionality hide kar di jaye |

Encapsulation

Encapsulation ko data hiding bhi kahte hai | sath hi encapsulation ke duvara data or functions ko outside access se protect kiya jata hai | Encapsulation ke 3 types hote hai ( Public , Private , Protected) ka protection provide karti hai |

Inheritance

Inheritance object oriented programming ka concept hai | Jisme ek code ko dusri jagah par istemal kiya ja sakta hai | ye code re-usability implement karta hai |

Polymorphism

C++ mei Polymorphism function overloading duvara implement kiya jata hai | jisme ek name ke funcitons ko alag alag conditions mei execute kiya jata hai |

Introducing C++ in Hindi

Dosto mujhe ummed hai ki aap Introducing C++ in Hindi ko acchi tarah se samanj gye honge agar aap ko ye post acchi lage to mere is website ko jarur follow kre or ha agar aap video bhi dekhna chahte hai to aap mere channel ko bhi subscribe kar sakte hai. channel ka link aapko home page par mil jayega |

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *