CSS Color Property In Hindi:- CSS Colors Property Ka Istemal Karke Ham Aapni Website Ka Look ya Design Accha Kar Sakte Hai | Website Mai CSS Color Ka Istemal Hona Bahut Jaruri Hai Kyoki Isse Webpage Dekhne Mai Beautiful or Attractive Lagta Hai |
Yadi Aapne HTML Full Course Nhi Read Kiya Hai To Aap Vah Bhi Read Kar Sakte Hai | Kyoki Usme Milenge Aapko HTML Full Course A to Z |
CSS Color Property In Hindi
Contents
CSS Mai Color Declare Karne Ke Liye Color Property Ka Istemal Kiya Jata Hai. CSS Mai Aap Foreground ( fg ) Or Background (bg) Dono Ke LIye Color Declare Kar Sakte Hai |
Read Also:- CSS Colors
- Foreground:- Means Font Color, Border Color, Outlines, Text Color |

Color Declare Karne Ke Bahut Se Tarike Hai CSS Mai. Lekin Sabhi Tarike Sabhi Browsers Support Nhi Karte Hai Isliye Ham Yaha 3 types of add CSS color Property ke Bare Mai Bata Rahe Hai |
3 Types Of Add CSS Property
- Hex Value
- RGB Value
- Color Name
1. Hex Value
Hex Ka Matlab Hota Hai Hexadecimal. HexaDecimal Code 6 number ka code Hota hai. Jisme Red, Green, Blue color ki Hex Value Hoti Hai | HEX Value Mai Pahle 2 Number Red Ke Liye Or Bich Ke 2 Number Green Or Last Ke 2 Number Blue Ke Represent Karne ke Liye Hote Hai |
Example:
<style> p { color: #000000; } </style> <p>This Is Hex Value Color</p>
2. RGB Value
RGB 3 Words se Bana Hai. Jisme R Ka Matlab Red, G Ka Matlab Green Or B ka Matlab Blue Hota Hai | RGB Duvara 0 se 255 ke Bich Mai Kisi Color Ki Intensity Show Ki Jati Hai. Aap Jitni Jyada Value Kisi Color Ki Declare Karenge Vah Color Utna Hi Jayada Dikhai Dega |
Example:
<style> p { color: rgb(255,0,0); } </style> <p>This Is RGB Value Color</p>
3. Color Value
Aap Color Value Ko Color Name Se Bhi Declare Kar Sakte Hai |
Example:
<style> p { color: red; } </style> <p>This Is RGB Value Color</p>
Ab Aap Jan Hi Gaye Honge Ki CSS Colors Property In Hindi , CSS Color Property, Types Of CSS Color Property in Hindi Kon Kon Se Hai |